Dafn Se Pehle Nabz Jaanch Lena Sahab;
Kalakar Umda Hai, Kahin Kirdar Mein Na Ho!
Dil Ki Betaabi Theharne Nahi Deti Mujh Ko;
Din Kahin Raat Kahin Subah Kahin Shaam Kahin!
Humne Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibaadat Ki Hai,
Rasmon Se Riwazon Se Bagawat Ki Hai;
Manga Tha Hum Ne Jise Apni Duaaon Mein,
Usi Ne Mujh Se Juda Hone Ki Chahat Ki Hai!
Mana Ke Gham Ke Baad Milti Hain Muskurahtein;
Lekin Jiyega Kaun Teri Berukhi Ke Baad!
Azeez Itna Hi Rakho Ki Jee Sambhal Jaye;
Ab Is Kadar Bhi Na Chaho Ki Dum Nikal Jaye!
Koi Shai Ek Si Nahi Rehti;
Umar Dhalti Hai Gham Badalte Hain!
Asmaana Te Udd-De Panchhi, Vekh Sahi Ki Karde Ne;
Na O Karde Rizq Zakheera, Na O Bhukhe Marde Ne!
Rizq - Occupation/Trade
Zakheera - Unnecessary hoarding
Zuban Dil Ki Haqeeqat Ko Kya Bayaan Karti;
Kisi Ka Haal Kisi Se Kaha Nahi Jaata!
Tujhe Kaun Jaanta Tha Meri Dosti Se Pehle;
Tera Husn Kuch Nahi Tha Meri Shayari Se Pehle!
Barbaad Kar Diya Humein Pardes Ne Magar;
Maa Sab Se Keh Rahi Hai Ki Beta Maze Mein Hai!



