Bahane Aur Bhi Hote Jo Zindagi Ke Liye;
Hum Ek Baar Teri Aarzoo Bhi Kho Dete!
Na Jaane Iss Zidd Ka Nateeza Kya Hoga;
Samjhata Dil Bhi Nahi, Main Bhi Nahi, Tum Bhi Nahi!
Uski Baahon Mein Sone Ka Abhi Tak Shaunk Hai Mujhko;
Mohabbat Mein Ujad Kar Bhi Meri Aadat Nahi Badli!
Jab Ghir Jao Dukhon Ke Sailaab Se;
To Doob Jao Saaki Ki Sharab Se!
Kaun Si Ja Hai Jahan Jalwa-e-Mashooq Nahi;
Shaunq-e-Deedar Agar Hai To Nazar Paida Kar!
Is Bharose Pe Kar Raha Hun Gunah;
Bakhsh Dena To Teri Fitrat Hai!
Zindagi Tune Mujhe Kabar Se Kam Di Hai Zameen;
Paanv Phailaun To Deewar Mein Sar Lagta Hai!
Itni Pee Jaye Ki Mitt Jaye Main Aur Tu Ki Tameez;
Yaani Ye Hosh Ki Deewar Gira Di Jaye!
Farishton Se Bhi Achchha Main Bura Hone Se Pehle Tha;
Wo Mujh Se Intihai Khush Khafa Hone Se Pehle Tha!
Ek Shajar Aisa Mohabbat Ka Lagaya Jaye;
Jis Ka Hum Saaye Ke Aangan Mein Bhi Saya Jaye!



