Mile To Hazaron Log The Zindagi Mein;
Par Wo Sabse Alag Tha Jo Qismat Mein Nahi Tha!
Kabhi Udaas Ho Jao To Batana Mujhe;
Phir Se Apna Dil Denge Tumhein Khelne Ke Liye!
Woh Na Aayega Humein Maloom Tha Is Sham Bhi;
Intezar Us Ka Magar Kuch Soch Kar Karte Rahe!
Kaise Akash Mein Sooraḳh Nahin Ho Sakta;
Ek Patthar To Tabiyat Se Uchhalo Yaaro!
Ik Roz Cheen Legi Humin Se Zameen Humein;
Cheenenge Kya Zameen Ke Khazane Zameen Se Hum!
Yun To Ek Thikana Mera Bhi Hai Ai Sanam;
Par Tere Bina Main Gumshuda Sa Mehsoos Karta Hun!
Apne Chehre Se Jo Zahir Hai Chhupayein Kaise;
Teri Marzi Ke Mutabiq Nazar Aayein Kaise!
Dil Main Kisi Ke Raah Kiye Ja Raha Hun Main;
Kitna Haseen Gunah Kiye Ja Raha Hun Main!
Kaum Angdai Le Raha Hai 'Adam';
Do Jahan Ladkhada Jaate Hain!
Teri Nigah Dil Se Jigar Tak Utar Gayi;
Dono Ko Hi Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi!



