Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De;
Aisa Kar Aye Khuda Meri Hasti Mita De;
Yun Ghut-Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai;
Main Kabhi Na Jagun Mujhe Aisi Neend Sula De!
Ek Muddat Se Teri Yaad Bhi Aayi Na Humein;
Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhe Aisa Bhi Nahin!
Husn Ke Samajhne Ko Umar Chahiye Janan;
Do Ghadi Ki Chahat Mein Ladkiyan Nahi Khulti!
Ajeeb Sa Qissa Hai Is Duniya Ka Bhi;
Har Koi Sab Kuch Batorne Mein Laga Hai Khaali Haath Jaane Ke Liye!
Achha Khasa Baithe Baithe Gum Ho Jaata Hun;
Ab Main Aksar Main Nahi Rahta Tum Ho Jaata Hun!
Har Roz Chupke Se Nikal Aate Hain Naye Patte;
Yaadon Ke Darakhton Mein Maine Kabhi Patjharh Nahi Dekha!
Hum Se Pucho Ki Ghazal Kya Hai Ghazal Ka Fan Kya;
Chand Lafzon Mein Koi Aag Chuppa Di Jaye!
Ghar Ko Khojein Raat Din Ghar Se Nikle Paanv;
Wo Rasta Hi Kho Gaya Jis Raste Tha Gaanv!
Muddat Se Koi Aaya Na Gaya Sunsaan Padi Hai Ghar Ki Faza;
In Khali Kamron Mein 'Nasir' Ab Shama Jalaun Kis Ke Liye!
Ai Chaand Chala Ja Kyon Aaya Hai Tu Meri Chaukhat Pe;
Chhod Gaya Wo Shakhs Jiske Dhokhe Mein Tujhe Dekhte The!



