Chalo Baant Lete Hain Apni Sajayein;
Na Tum Aao Na Hum Yaad Aayein!
Ab Judai Ke Safar Ko Mere Aasan Karo;
Tum Mujhe Khwaab Mein Aa Kar Na Pareshan Karo!
Khwahishon Ka Aadi Dil Kaash Ye Samajh Sakta;
Ki Saans Toot Jaati Hai Ik Aas Toot Jaane Se!
Milna Tha Ittefaq Bichhadna Naseeb Tha;
Wo Utni Door Ho Geya Jitna Qareeb Tha!
Apne Apne Kiye Pe Hain Hum Dono Itne Sharminda;
Dil Se Hum Katrata Hai Aur Hum Dil Se Katrate Hain!
Koi Chirag Jalata Nahi Saleeke Se;
Magar Sabhi Ko Shikayat Hawa Se Hoti Hai!
Daagh Duniya Ne Diye Zakham Zamane Se Mile;
Hum Ko Tohfe Ye Tumhein Dost Banane Se Mile!
Samne Hai Jo Use Log Bura Kehte Hain;
Jis Ko Dekha Hi Nahi Us Ko Khuda Kehte Hain!
Waqt Aane De Dikha Denge Tujhe Ai Aasman;
Hum Abhi Se Kyon Batayein Kya Hamare Dil Mein Hai!
Shehar Ke Andhere Ko Ek Chirag Kaafi Hai;
Sau Chirag Jalte Hain Ek Chirag Jalne Se!



