sms

Mohabbat Rang De Jaati Hai Jab Dil Dil Se Milta Hai;
Magar Mushkil To Ye Hai Dil Badi Mushkil Se Milta Hai!

sms

Wo Baat Soch Ke Main Jis Ko Muddaton Jeeta;
Bichaddte Waqt Batane Ki Kya Zaroorat Thi!

sms

Mere Khwabon Se Ojhal Us Ka Chehra Ho Gaya Hai;
Main Aisa Chahta Kab Tha Par Aisa Ho Gaya Hai!

sms

Koi Hum-Dum Na Raha Koi Sahara Na Raha;
Hum Kisi Ke Na Rahe Koi Hamara Raha!

sms

Har Tarah Ke Jazbat Ka Elan Hain Aankhein;
Shabnam Kabhi Shola Kabhi Toofan Hain Aankhein;
Aankhon Se Badi Koi Tarazu Nahi Hoti;
Tulta Hai Bashar Jis Mein Woh Meezan Hain Aankhein!

sms

Har Dhadakte Patthar Ko Log Dil Samjhte Hain;
Umerin Beet Jaati Hain Dil Ko Dil Banane Mein!

sms

Dil De Toh Is Mizaz Ka Parvardigar De;
Jo Ranj Ki Ghadi Bhi Khushi Se Guzar De!

sms

Dil Abaad Kahan Reh Paaye Us Ki Yaad Bhula Dene Se;
Kamra Veeran Ho Jata Hai Ik Tasveer Hata Dene Se!

sms

Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Bana Saka;
Muskura Kar Tum Ne Dekha Dil Tumhara Ho Gaya!

sms

Kab Thehrega Dard-e-Dil Kab Raat Basar Hogi;
Sunte The Wo Aayenge Sunte The Sehar Hogi!

End of content

No more pages to load

Next page