Kuch Nazar Aata Nahi Us Ke Tassavur Ke Siwa;
Hasrat-e-Deedar Ne Aankhon Ko Andha Kar Diya!
Phoonk Daalunga Main Kisi Roz Dil Ki Duniya;
Yeh Tera Khat Toh Nahi Hai Ki Jala Bhi Na Sakun!
Hothon Pe Kabhi Unke Mera Naam Hi Aaye;
Aaye Toh Sahi, Bar-Sar-e-Ilzam Hi Aaye!
Kaun Kehta Hai Hum Jhooth Nahi Bolte;
Ek Baar Khairiyat Toh Puch Ke Dekhiye!
Chalne Ka Haunsla Nahi Rukna Muhal Kar Diya;
Ishq Ke Is Safar Ne Toh Mujh Ko Nidhal Kar Diya!
Uski Yaad Aayi Hai Saanson Zara Ahista Chalo;
Dhadkano Se Bhi Ibadat Mein Khalal Padta Hai!
Mohabbat Mein Nahi Hai Farq Jeene Aur Marne Ka;
Usi Ko Dekh Kar Jeete Hain Jis Kaafir Pe Dam Nikle!
Aankhein Khuli To Jaag Uthi Hasratein Tamam;
Us Ko Bhi Kho Diya Jise Paaya Tha Khwaab Mein!
Thakna Bhi Lazmi Tha Kuch Kaam Karte Karte;
Kuch Aur Thak Gaya Hun Aaram Karte Karte!
Ab Ke Hum Bichhade Toh Shayad Kabhi Khwabon Mein Milen;
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitabon Mein Milen!



