Kis Tarah Bhulayein Hum Is Shehar Ke Hungame;
Har Dard Abhi Baaki Hai Har Zakhm Abhi Taaza Hai!
Na Humsafar Na Kisi Hum-Nasheen Se Niklega;
Hamare Paanv Ka Kaanta Humin Se Niklega!
Bhaanp Hi Lenge Ishara Sar-e-Mehfil Jo Kiya;
Taadne Wale Qayamat Ki Nazar Rakhte Hain!
Bahut Ji Khush Hua 'Hali' Se Mil Kar;
Abhi Kuch Log Baaqi Hain Jahaan Mein!
Ek Lamhe Mein Bikhar Jata Hai Tana-Bana;
Aur Phir Umar Guzar Jaati Hai Yakjai Mein!
Diya Khamosh Hai Lekin Kisi Ka Dil To Jalta Hai;
Chale Aao Jahan Tak Roshni Maloom Hoti Hai!
Fasl-e-Bahar Aayi Piyo Sufiyon Sharab;
Bas Ho Chuki Namaz Musalla Uthaiye!
Ek Ho Jayein To Ban Sakte Hain Khurshid-e-Mubin;
Varna In Bikhre Hue Taaron Se Kya Kaam Bane!
Dil Abhi Poori Tarah Toota Nahi;
Doston Ki Meharbani Chahiye!
Dil Ki Bisat Kya Thi Nigah-e-Jamal Mein;
Ik Aaina Tha Toot Geya Dekh Bhaal Mein!



