Koi Paband-E-Mohabbat Hi Bata Sakta Hai;
Ek Deewane Ka Zanjeer Se Rishta Kya Hai!
Kaifiyat-E-Chashm Us Ki Mujhe Yaad Hai 'Saudâ';
Sagar Ko Mere Haath Se Lijo Ki Chala Main!
Kal Chaudhvi Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera;
Kuch Ne Kaha Ye Chaand Hai, Kuch Ne Kaha Chehra Tera!
Kahin Zameen Se Taalluq Na Khatam Ho Jaye;
Bahut Na Khud Ko Hava Mein Uchhaliye Sahib
Baat Ulti Wo Samjhte Hain Jo Kuch Kehta Hun;
Ab Ke Pucha Toh Ye Keh Dunga Ki Haal Achha Hai!
Mumkin Hai Yehi Dil Milane Ka Sabab Ho;
Yeh Rutt Jo Humein Haath Milane Nahi Deti!
Jab Pyaar Nahi Hai Toh Bhula Kyon Nahi Dete;
Khat Kis Liye Rakhe Hain Jala Kyon Nahi Dete!
Mohabbat Aati Hai Sard Hawaaon Ki tarhan;
Aur Jaati Hai Garam Hawaaon Ki Tarhan!
Mohabbat Mein Kya Kya Muqaam Aa Rahe Hain;
Ki Manzil Pe Hain Aur Chale Ja Rahe Hain!
Sare Duniya Ke Gham Hamare Hain;
Aur Sitam Ye Ki Hum Tumhare Hain!



