Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuch Itna Kho Chuka Hoon Main,
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga!
Apne Dil Ka Haal Na Kehna Kaisa Lagta Hai;
Tum Ko Apna Chup-Chap Rehna Kaisa Lagta Hai!
Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai;
Unka Har Aaib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai!
Haathon Ki Lakeeron Pe Mat Ja Ai Ghalib;
Naseeb Unke Bhi Hote Hain Jinke Haath Nahi Hote!
Dil Mein Ik Dard Utha Aankhon Mein Aansu Bhar Aaye;
Baithe Baithe Humein Kya Janiye Kya Yaad Aaya!
Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kya;
Hai Tujh Ko Khalq-e-Khuda Ghabana Kya!
An To Kahan Hai Shola-e-Fanus Ki Tarah;
Ek Aag Si Bhari Hai Mire Pairahan Ke Biich!
Vo Kisi Ko Yaad Kar Ke Muskuraya Tha Udhar;
Aur Main Nadan Ye Samjha Ki Vo Mera Hua!
Tera Saath Hai Toh Mujhe Kya Kami Hai,
Teri Har Muskan Se Mili Mujhe Kushi Hai;
Muskuraate Rehna Isi Tarah Humesha,
Kyonki Teri Is Muskan Mein Meri Jaan Basi Hai!
Door Rehne Wale Terko Ek Bat Kehna Chahta Hu;
Agar Mera Khyal Aaye To Apna Khyal Rakhna!



