Zakham De Kar Na Puch Dard Ki Shiddat;
Dard To Phir Dard Hai, Kam Kya, Zeyaada Kya
Hum Bhi Mohabbat Ke Buhut Bade Jinn Nikle;
Hamari Jaan Unke Nanhe Se Dil Mein Qaid Hai!
Na De Paaye Unko Zindgi Ke Neyaab Tohfe;
Hum Toh Apne Dil Ko Hi Kohinoor Samajh Bathe The!
Koi Shiddat Na De Mere Wajood Ko;
Hum Toh Khaak Hone Ke Liye Paida Hue The!
Jis Ki Aaghosh Mein Hum Roz Mila Karte The;
Ab Wahi Sham Har Ek Sham Sada Deti Hai!
Mujhe Maloom Hai Mere Muqaddar Mein Tum Nahi Lekin,
Meri Taqdeer Se Chhip Kar Mujhe Ek Baar Mil Jao
Woh Aaye Hamare Dil Mein Husn Ki Pari Banke;
Ab Rooh Bhi Inne Jaane Ki Izaazat Nahi Deti!
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaayega;
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaayega!
Jaane Kab Aapki Aankhon Se Izhaar Hoga;
Aapke Dil Mein Humare Liye Pyaar Hoga;
Guzar Rahi Hai Yeh Raat Aapki Yaad Mein;
Kabhi Toh Aapko Bhi Humara Intezaar Hoga!
Woh Apna Daman Humse Chhudate Rahe;
Lekin Humein Bhi Apni Mohabbat Pe Betehasha Yakin Tha!



