Shehron Ka Yun Veeran Hona Kuch Yun Gazab Kar Geya;
Barson Se Pade Gumsum Gharon Ko Aabad Kar Geya!
Samandar Na Sahi Ek Nadi Toh Honi Chahiye;
Tere Shehar Mein Zindagi Kahin Toh Honi Chahiye!
Aa Jao Tumhe Ishq Ka Falsafa Sikha Dein;
Ek Dil Harne Ki Tum Kasam Khao Aur Ek Hum!
Ho Sakti Hai Mohabbat Zindagi Mein Dobara Bhi;
Bas Haunsla Ho Ek Dafaa Phir Se Barbaad Hone Ka!
Din Gaye, Raatein Gayi, Guzar Gaye Kai Saal;
Na Teri Yaadein Kam Hui, Na Milne Ka Dastoor Aaya Ek Baar!
Girna Tha Jo Aapko Toh Sau Maqaam The;
Yeh Kya Kiya Aapne KeiNigaahon Se Gir Gaye!
Bula Raha Hai Kaun MujhKo Uss Taraf;
Mere Liye Bhi Kya Koi Udaas Beqaraar Hai!
Yeh Jaam Hi Ab Mera Ishq Aur Junoon Hai;
Yeh Nashe Ki Aadh Mein Dhokha Nahi Dete!
Kuch Sahi Toh Kuch Kharaab Kehte Hain;
Log Humein Bigda Hua Nawaab Kehte Hain;
Hum Toh Badnaam Hue Kuch Is Kadar;
Ki Paani Bhi Piye Toh Log Sharaab Kehte Hain!
Palak Jhapkte Hi Duniya Ujaad Deti Hai Wo Bastiyan,
Jinhen Baste Zamane Lagte Hain;
'Faraz' Milte Hain Gham Bhi Naseeb Walon Ko,
Har Ek Haath Kahan Yeh Khazane Lagte Hain!



