Mujh Par Apna Ishq Yun Hi Udhar Rehne Do;
Bada Haseen Hai Ye Karz Mujhe Karzdaar Rehne Do!
Anjaane Shehar Mein Kisi Ne Peeche Se Patthar Maara Hai;
Zakham Keh Raha Hai, Koi Apna Hai Iss Shehar Mein!
Waqt Ki Dhundh Mein Chupp Jaate Hain Talluk;
Bahut Dino Tak Kisi Ki Aankhon Se Ojhal Na Rahiye!
Bana Kar Usne Mere Sang Ret Ka Mahal;
Na Jaane Kyon Baarishon Ko Khabar Kar Di!
Sirf Do Hi Gawah The Meri Wafa Ke;
Ek Waqt, Aur Ek Woh;
Ek Guzar Geya Aur Ek Mukar Geya!
Aaine Ajj Saaf Hue Mudaat Ke Baad;
Inn Pe Galatfehmiyon Ki Buhut Dhool Jami Thi!
Milawat Hai Tere Husn Mein Itr Aur Sharab Ki;
Tabhi Main Thoda Mehka Sa Hun, Thoda Behka Sa Hun!
Hazaron Ashk Meri Aankhon Ki Hirasat Mein The;
Bas Kuch Yaad Aaya Aur Sab Ko Jamanat Mil Gayi!
Mujh Mein Hunar Kuch Khaas Nahi;
Saadgi Ke Siwa Kuch Mere Paas Nahi!
Jaane Kyon Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar;
Ek Dariya Hain Ya Poora Samandar Hain Teri Aankhein!



