Yeh Sang-Dilon Ki Duniya Hai, Yahan Sambhal Ke Chalna Dost;
Yahan Palkon Pe Bithaya Jata Hai, Nazron Se Girane Ke Liye!
Aadatein Alag Hain Meri Duniya Walon Se;
Dost Kam Rakhta Hun Par La-Jawaab Rakhta Hun!
Kitna Haseen Chand Sa Chehra Hai, Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai;
Khudaa Ko Yakeen Na Tha Wafa Pe, Tabhi Chand Pe Taaron Ka Pehra Hai!
Suno Zara Sa Haq Jatana Bhi Seekh Lo;
Ishq Hai To Batana Bhi Seekh Lo!
Tum Mohabbat Thi Meri, Isliye Khafa Tha;
Gair Hoti Toh Fikar Hi Na Hoti!
Suno Waada Karo Mujhse Mujhe Kabhi Rulaoge Nahi;
Halaat Chaahe Jo Bhi Ho Mujhe Bhulaoge Nahi!
Khud Ko Bhool Jaate Hain Hum;
Jab Tumhare Saath Hote Hain!
Dard Sehne Ki Itni Adat Ho Chuki Hai Ki,
Ab Dard Na Mile To Bahut Dard Hota Hai!
Basa Kar Khud Ko Meri Aankhon Mein Kahan Chale Tum;
Ye Shehar Ishq Hai, Yahan Hijrat Ki Izazat Nahi!
Maine Tujhe Chaha Wo Tumne Pehchana Nahi;
Jane Anjane Kahi Tu Mujhe Chahe Ab Zamana Nahi!



