Achha To Bahut Gurur Hai Tum Mein, Ise Zara Sambhal Ke Rakho;
Aur Mar Jaunga Tumhare Bina Main, Chalo Ye Veham Bhi Paal Ke Rakho!
Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz,
Kamaal Ki Yeh Ghazal Sunayenge Kisi Roz;
Parinde Hain Udney Do Inhe In Azaad Fizao'n Mein,
Agar Mere Hue To Laut Aayenge Kisi Roz!
Bada Mushkil Hai Har Chehre Se Raaz-e-Dil Pata Karna;
Jo Gehre Log Hote Hain, Kambakht Pehchane Nahi Jate!
Yeh Jagmagate Jugnu Hawayein Dhuney Gun-Gunati Hain;
Tere Sheher Ke Kone Kone Se Mohabbat Ki Khushbu Aati Hai!
Aakhir Dua Karen Bhi Toh Kis Mudda Ke Saath;
Kaise Zameen Ki Baat Kahen Aasmaan Se Hum!
Suna Hai Usko Mohabbat Duaayein Deti Hai;
Jo Dil Pe Chot Toh Khaye Magar Gila Na Kare!
Ehsaan Kisi Ka Woh Rakhte Nahi Mera Bhi Chuka Diya;
Jitna Khaya Tha Namak Mera Mere Zakhmo Pe Laga Diya!
Taras Gaye Hain Thodi Si Wafa Ke Liye,
Kisi Se Pyaar Na Karenge Khuda Ke Liye;
Jab Bhi Lagti Hai Ishq Ki Aadalat,
Hum Hi Chune Jaate Hain Sazaa Ke Liye!
Unke Husn Ka Aalam Na Puchiye;
Bas Tasveer Ho Gaya Hun Tasveer Dekh Kar!
Main Tumhari Saadgi Ki Kya Misaal Dun;
Iss Saare Jahaan Mein Be-Misaal Ho Tum!



