Qareeb Aa Zara Ki Jeena Mushkil Hai Tere Bin;
Dil Ko Tujh Se Nahi Teri Har Ada Se Mohabbat Hai!
Mere Nazdeek Aa Kar Dekh, Mere Ehsaas Ki Shiddat;
Mera Dil Kitna Dhadakta Hai Tere Naam Ke Saath!
Raah-e-Khuloos Mein Paida Dushwariyan Na Kar;
Chahat Nahi To Hum Se Adakariyan Na Kar!
Main Apni Chahaton Ka Hisaab Lene Jo Baith Jaun;
Tum Toh Sirf Mera Yaad Karna Bhi Na Lauta Sakoge!
Woh Roye Toh Bahut Par Mujhse Muh Mod Kar Roye,
Koi Mazboori Hogi Jo Dil Tod Kar Roye;
Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer Ke Tukde,
Pata Chala Mere Peeche Woh Unhe Jod Kar Roye!
Ai Rooh Tu Zara Dheere-Dheere Nikal;
Kahin Us Bekhabar Ko Khabar Na Ho Jaye!
Dekhi Jo Meri Nabz To Ek Lamha Soch Kar;
Kagaz Liya Aur Ishq Ka Beemar Likh Diya!
Sang-e-Maramar Se Taraasha Khuda Ne Tujhe;
Baaki Jo Patthar Bacha Tera Dil Bana Diya!
Ek Tum Hi The Jiske Dum Pe Chalti Thi Saanse Meri;
Laut Aao Ki Zindagi Se Ab Wafa Nibhayi Nahi Jaati!
Hasil-e-Zindgi Hasraton Ke Siwa Kuch Bhi Nahi;
Yeh Kiya Nahi, Woh Hua Nahi, Yeh Mila Nahi, Woh Raha Nahi!



