sms

Batane Wale Wahin Par Batate Hain Manzil;
Jahan Se Hazaar Baar Guzar Chuka Hun Main!

sms

Kis Kaam Ki Rahi Yeh Dikhave Ki Zindagi;
Vaade Kiye Kisi Se, Guzaare Kisi Ke Saath!

sms

Khwaab Aankhon Se Gaye, Neend Raaton Se Gayi;
Wo Gaya To Aise Laga, Zindagi Haantho Se Gayi!

sms

Jo Padha Hai Use Jeena Hi Nahin Hai Mumkin;
Zindagi Ko Main Kitabon Se Alag Rakhta Hoon!

sms

Aapki Yaadon Ke Diye Ab Jalaana Kya;
Juda Hue Hain To, Ehd-e-Wafa Nibhana Kya!

sms

Sukhe Patte Se Pyaar Kar Lenge, Tumhara Aitbaar Kar Lenge;
Tum Ye Toh Kaho Ki Hum Tumhare Hain, Hum Zindagi Bhar Intezaar Kar Lenge!

sms

Lagegi Aag Toh Aayenge Ghar Kayi Zad Mein;
Iss Shehar Mein Sirf Hamara Makaan Thodi Hai!

sms

Deewane Hain Tere Is Baat Se Inkaar Nahin,
Kaise Kahen Ki Humein Tumse Pyaar Nahin;
Kuch Toh Kasoor Hai Teri In Aankhon Ka,
Hum Akele Toh Gunhagaar Nahi!

sms

Uthhti Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf, Paband Kar Gayi Hai Kisi Ki Nazar Mujhe;
Imaan Ki Toh Ye Hai Ke Imaan Ab Kahan, Kafir Banaa Gayi Teri Kafir Nazar Mujhe!

sms

Ishq Ke Phool Khilte Hain Teri Khoobsurat Aankhon Mein;
Jahan Dekhe Tu Ek Nazar Wahan Khushboo Bikhar Jaaye!

End of content

No more pages to load

Next page