Tera Naam Tha Aaj Ajnabee Ki Zubaan Par;
Baat Zara Si Thi Par Dil Ne Bura Maan Liya!
Ishq Hara Hai Toh Dil Thaam Ke Kyon Baithe Ho;
Tum Toh Har Baat Par Kehte The Koi Baat Nahi!
Kaisa Ajeeb Rishta Hai, Dil Aaj Bhi Dhokhe Mein Hai,
Aur Dhokhebaaz Aaj Bhi Dil Mein!
Waqt Noor Ko Benoor Kar Deta Hai, Chhote Se Zakham Ko Nasoor Kar Deta Hai;
Kaun Chahta Hai Apno Se Door Rehna, Par Waqt Sabko Mazboor Kar Deta Hai!
Jise Shiddat Se Chaho Woh Muddat Se Milta Hai;
Bas Muddaton Se Nahi Mila Koi Shiddat Se Chahne Wala!
Kuch To Tanhai Ki Raaton Mein Sahara Hota;
Tum Na Hote Na Sahi... Zikar Tumhara Hota!
Sochta Raha Ye Raat Bhar Karvat Badal Badal Kar;
Jane Woh Kyon Badal Gaya, Mujhko Itna Badal Kar!
Yeh Meri Mahobbat Aur Uski Nafrat Ka Mamla Hai;
Ai Mere Naseeb Tu Beech Mein Dakhal-Andazi Mat Kar!
Bahut Ajeeb Hain Bandishe Mohabbat Ki;
Na Usne Qaid Mein Rakha Na Hum Faraar Hue!
Tere Gham Ko Apni Rooh Mein Utaar Lun,
Zindagi Teri Chahat Mein Sanwaar Lun;
Mulaqaat Ho Tujhse Kuch Iss Tarah,
Tamaam Umar Bas Ek Mulaqaat Mein Guzaar Lun!



