Tere Khamosh Hothon Par Mohabbat Gun-Gunati Hai;
Tu Meri Hai Main Tera Hun, Bas Ye Hi Awaaz Aati Hai!
Kambakht Ye Dil Bhi Kaise Thagta Chala Gaya;
Koi Achha Lagta Hai Aur Lagta Chala Gaya!
Dekhi Jo Meri Nabz Toh Ek Lamha Soch Kar;
Kagaz Liya Aur Ishq Ka Beemar Likh Diya!
Mere Nazdeek Aa Ke Dekh, Mere Ehsaas Ki Shiddat;
Mera Dil Kitna Dhadakta Hai Tere Naam Ke Saath!
Raah-E-Khuloos Mein Paida Dushwariyan Na Kar;
Chahat Nahi To Hum Se Adakariyan Na Kar!
Qareeb Aa Zara Ke Jeena Mushkil Hai Tere Bin,
Dil Ko Tujh Se Nahi Teri Har Ada Se Mohabbat Hai!
Main Apni Chahaton Ka Hisaab Lene Jo Baith Jaun,
Tum Toh Sirf Mera Yaad Krna Bhi Na Lauta Sakoge!
Ek Tum Hi The Jiske Dum Pe Chalti Thi Saanse Meri;
Laut Aao Ke Zindagi Se Ab Wafa Nibhayi Nahi Jaati!
Apne Halaat Se Main Sulah Toh Kar Loon Lekin,
Mujh Mein Rooh-Posh Jo Ek Shakhs Hai Mar Jaye Ga!
Ye Ishq Bhi Nasha-E-Sharab Jaisa Hai;
Karen To Mar Jayen, Chodden To Kidhar Jayen!



