Tujh Pe Uthati Hai Wo Khoyi Hui Saahir Aankhein;
Tujh Ko Maloom Hai Kyon Umar Ganwa Di Humne!
Socha Tha Us Se Bichadein Ge To Mar Jayn Ge;
Jaan Lewa Khauf Tha Bas, Hua Kuch Bhi Nahi!
Woh Parinda Jise Apni Parwaaz Se Fursat Na Thi;
Aaj Tanha Hua Toh Meri Hi Deewar Pe Aa Baitha!
Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hai,
Abhi Ishq Ke Imtehaan Aur Bhi Hain!
Woh Pila Kar Jaam Labon Se Apni Mohabbat Ka,
Ab Kehte Hain Ki Nashe Ki Aadat Achhi Nahi Hoti!
Kitni Achhi Lagti Hai Kisi Se Mohabbat Ki Ibtedaa;
Dard To Tab Hota Hai Jab Koi Apna Bana Ke Chodd De!
Hauslon Ka Saboot Dena Tha;
Thokrein Kha Kar Muskurana Pad Geya!
Woh Bhi Khushboo Si Thi, Tum Bhi Khushboo Se Ho,
Farak Sirf Itna Hai, Woh Phool Ki Thi, Tum Ittar Ki Ho!
Ham Kash-M-Kash-E-Gham Se Guzar Kyon Nahin Jaate;
Marna To Ba-Har-Haal Hai Mar Kyon Nahi Jaate!
Waqt Bahut Kuch Cheen Leta Hai,
Khair Meri To Sirf Muskurahat Thi!



