Pasand Karta Hun Har Haseeno Ko,
Magar Dil Mein Basane Ke Liye Jagah Nahi;
Thukra Dete Hain Begane Samajhkar,
Uski Hoti Koi Thukraane Ki Vajah Nahi!
Ek Naam Kya Likha Tera Sahil Ki Rait Pe;
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi!
Kitne Lahjon Ke Gilaafon Me Chupaaun Tujh Ko,
Shehar Wale Mera Mauzu-E-Sukhan Jaante Hain!
Phoonk Daalunga Kisi Roz Main Dil Ki Duniya,
Ye Tera Khat To Nahi Hai Ki Jalaa Bhi Na Sakoon!
Tujh Ko Dekha Toh Phir Us Ko Dekha Na Gaya;
Chand Kehta Hi Raha Main Chand Hun Main Chand Hun!
Banane Wale Ne Bhi Tujhe Kisi Karan Se Banaya Hoga;
Choda Hoga Jab Zameen Par Tujhe Uske Seene Mein Bhi Dard To Aaya Hoga!
Bahut Udaas Hai Koi Tere Jaane Se,
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se;
Tu Lakh Khafa Sahi Par Ek Baar To Dekh,
Koi Toot Sa Gaya Tere Rooth Jane Se!
Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota,
Koi Kisi Ke Bina Adhura Nahi Hota;
Jo Chand Roshan Karta Hai Raat Bhar Sab Ko,
Har Raat Woh Bhi To Poora Nahi Hota!
Rehte The Kabhi Jinke Dil Mein;
Hum Jaan Se Bhi Pyaaron Ki Tarah;
Baithe Hain Unhi Ke Kuche Mein;
Hum Aaj Gunahgaron Ki Tarah!
Kabhi Main Apne Haathon Ki Lakeeron Se Nahin Uljha;
Mujhe Maloom Hai Qismat Ka Likha Bhi Badalta Hai!



