Unhe Chahana Hamari Kamzori Hai,
Unse Keh Nahi Pana Hamari Mazboori Hai,
Wo Kyon Nahi Samajhte Hamari Khamoshi Ko,
Kya Pyaar Ka Izhaar Karna Zaroori Hai!
Main Ye Soch Ke Kar Leta Hun Yaqeen Uski Baaton Par,
Ki Itne Khubsurat Honth Jhooth Nahi Bolte Honge!
Nafratein Lakh Mili Koi Mohabbat Na Mili,
Zindagi Beet Gayi Par Rahat Na Mili,
Teri Mehfil Mein Har Shakhs Ko Hansta Dekha,
Ek Hum The Jinhe Hansne Ki Izazat Na Mili!
Aur Bhi Dukh Hain Zamane Mein Mohabbat Ke Siwa,
Rahatein Aur Bhi Hain Wasl Ki Rahat Ke Siwa!
Na Main Tum Se Koi Ummeed Rakhun, Dil Nawazi Ki,
Na Tum Meri Taraf Dekho Galat Andaaz Nazron Se;
Na Mere Dil Ki Dhadkan Ladkhadaye Teri Baaton Se,
Na Zaahir Ho Tumhari Kash-M-Kash Ka Raaz Nazron Se!
Raat Aa Kar Guzar Bhi Jaati Hai,
Ik Hamari Sahar Nahi Hoti!
Woh Afsana Jise Anjaam Tak Laana Na Ho Mumkin,
Usse Ek Khoobsurat Mod Dekar Chhodna Achha!
Aaye The Hanste Khelte Mai-Khane Mein Firaq;
Jab Pi Chuke Sharab Toh Sanjeeda Ho Gaye!
Ek Talwar Ki Keemat Hoti Hai Uski Dhaar Se,
Insaan Ki Keemat Hoti Hai Uske Vyavhaar Se!
Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
Ae Sanam Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna!



