Bas Gayi Hai Ye Mere Ahsaas Mein Kaisi Mehak Koi;
Khushboo Main Lagaoon Teri Khushboo Aaye!
Kis Tarah Se Khatam Kare Inse Rishta;
Jin Se Milne Par Hum Duniya Hi Bhool Jate Hain!
Aaj-Kal Log Wafadaar Kam Hain;
Aur Adakaar Zayada Ho Gaye Hain!
Tumhari Giraft Mera Haunsla Badhati Hai;
Mujhe Tum Apni Mohabbat Mein Mubtala Rakhna!
Faanslo Se Agar Jeena Seekh Sakte Ho Tum;
Toh Tumhein Izazat Hai Hum Se Dooriyan Karne Ki!
Tumhari Yaad Mein Jeene Ki Aarzoo Hai Abhi;
Kuch Apna Haal Sambhalo Agar Izazat Ho!
Maine Logon Se Mutaasir Hona Chhod Diya;
Kyonki Log Wo Nahin Hote Jo Nazar Aate Hain!
Tera Khayal Sahi Hai Ki Wo Khoobsurat Hai;
Mujhe Haseen Yaar Se Nahi Apni Jaan Se Mohabbat Hai!
Woh Log Jo Tumko Kabhi Kabhi Yaad Aate Hain;
Kabhi Humko Bhi In Mein Shamil Karna!
Aisa Toh Kabhi Hua Nahi;
Gale Bhi Lage Aur Chhua Nahi!



