
Shikwa-e-Iztirab Kaun Kare,
Apni Duniya Kharab Kaun Kare;
Gin To Lete Hain Ungliyon Pe Gunah,
Rahmaton Ka Hisab Kaun Kare!

Kar Raha Tha Gham-e-Jahan Ka Hisab;
Aaj Tum Yaad Be-Hisab Aaye!

Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke;
Woh Ja Raha Hai Koi Shab-e-gham Guzar Ke!

Gulon Mein Rang Bhare Bad-e-Nau-Bahar Chale,
Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobar Chale;
Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se Kuch To Kaho,
Kahin To Bahr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chale!

Saari Duniya Se Be-Niyazi Hai;
Wah Ai Mast-e-Naaz Kya Kehna!

Dil Pagal Hai Roz Nayi Nadani Karta Hai;
Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai!

Dekhna Achcha Nahi Zaanu Pe Rakh Kar Aaina;
Donon Nazuk Hain Na Rakhiyo Aaine Par Aaina!
*Zaanu: Part between the waist and knee while sitting on knees

Ashk Khunab Ho Chale Hain,
Gham Ki Rangat Badal Chali Hai;
Ya Yun Hi Bujh Rahi Hain Shamen,
Ya Shab-e-Hijr Tal Chali Hai!

Kisi Ke Tum Ho Kisi Ka Khuda Hai Duniya Mein;
Mere Naseeb Mein Tum Bhi Nahi Khuda Bhi Nahi!

Koi Umeed Bar Nahi Aati,
Koi Surat Nazar Nahi Aati;
Maut Ka Ek Din Muayyan Hai,
Neend Kyon Raat Bhar Nahi Aati!
*Muayyan:Definite