
Muddat Sekhvab Mein Bhi Nahi Neend Ka Khayal;
Hairat Mein Hun Ye Kis Ka Mujhe Intezar Hai!

Kaise Kaise Sitam Uthaye Hain,
Zakhm Kha Kar Bhi Muskuraye Hain;
Ashk Aankhon Mein Dabdabaye Hain,
Ya Sitare Se Jhilmilaye Hain!

Marte Hain Aarzoo Mein Marne Ki;
Maut Aati Hai Par Nahi Aati!

Us Ki Aankhon Ko Ghaur Se Dekho;
Mandiron Mein Charagh Jalte Hain!

Zahid Sharab Peene Se Kaafir Hua Main Kyon;
Kya Dedh Chullu Paani Mein Imaan Beh Geya!

Jaam-e-Jamshed Ka Aalam Hai Mere Seene Mein,
Baat Paida Hi Nahi Ye Kisi Aaine Mein;
Aankh Mein Shakal Teri Noor Tera Seene Mein,
Aks Aaine Ka Padta Raha Aaine Mein!

Un Ras Bhari Aankhon Mein Haya Khel Rahi Hai;
Do Zehar Ke Pyalon Mein Qaza Khel Rahi Hai!

Umar Bhar Milne Nahi Deti Hain Ab To Ranjishein;
Waqt Hum Se Rooth Jane Ki Ada Tak Le Gaya

Lagta Nahi Hai Dil Mera Ujde Dayar Mein,
Kis Ki Bani Hai Alam-e-Na-Paedar Mein;
In Hasraton Se Keh Do Kahin Aur Ja Basen,
Itni Jagah Kahan Hai Dil-e-Dagh-Dar Mein!

Gali Ke Mod Se Ghar Tak Andhera Kyon Hai 'Nizam';
Charagh Yaad Ka Us Ne Bujha Diya Hoga!