
Koi Chara Nahi Dua Ke Siwa;
Koi Sunta Nahi Khuda Ke Siwa!

Deewana Banana Hai To Deewana Bana De,
Varna Kahin Taqdeer Tamasha Na Bana De;
Ai Dekhne Walo Mujhe Hans Hans Ke Na Dekho,
Tum Ko Bhi Mohabbat Kahin Mujh Sa Na Bana De!

Hum Se Zindagi Ki Haqeeqat Na Pucho Wasi;
Buhat Pur Khaloos Log The Jo Tanha Kar Gaye!
* Pur Khaloos: Sincere

Munh Jo Dekhe Aaina Gar Kanch Ka,
Muskura Uthe Muqaddar Kanch Ka;
Bhool Jaunga Main Apne Aap Ko,
Aks Pehchanega Jo Har Kanch Ka!

Hum Ko Maalum Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin;
Dil Ke Khush Rakhne Ko 'Ghalib' Ye Khayal Achcha Hai!

Fasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha;
Samne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha!

Jitni Tezi Se Aa Raha Tha Woh,
Laut Kar Door Ja Raha Tha Woh;
Sirf Rishte Ki Baat Par Yaaro,
Umar Apni Chupa Raha Tha Woh!

Kis Kis Ko Batayenge Judai Ka Sabab Hum;
Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa!

Khoon Mera Jis Se Hua Hai Khanjar-e-Ahbab Hai,
Ye Haqeeqat Hai Magar Lagta Hai Jaise Khwab Hai;
Is Liye Mujh Sa Numayan Ho Geya Be-Bal-o-Par,
Jis Jagah Main Hun Vahan Har Aadmi Surkhab Hai!
*Be-Bal-o-Par:Helpless

Ishq Par Zor Nahi Hai Ye Wo Aatish 'Ghalib';
Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bane!