
Pukarti Hai Khamoshi Meri Fugan Ki Tarah,
Nigahein Kehti Hain Sab Raz-e-Dil Zubaan Ki Tarah;
Jala Ke Dag-e-Mohabbat Ne Dil Ko Khak Kiya Bahar,
Ai Mere Bag Mein Khizan Ki Tarah!

Hun Main Parwana Magar Koi Shama Toh Ho Raat Toh Ho;
Jaan Dene Ko Hun Haazir Magar Koi Baat Toh Ho!

Lakeerein Hain To Rehne Do, Kisi Ne Rooth Kar Gusse Mein Shayad Kheech Di Thi;
Unhi Ko Ab Banao Paala Aur Aao Kabaddi Khelte Hain Lakeerein Hain To Rehne Do!

Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Safar Nikla,
Saare Jahan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla;,
Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya,,
Afsos Wohi Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla!

Dushmanon Ki Jafa Ka Khauf Nahin;
Doston Ki Wafa Se Darte Hain!

Pyaar Karte Ho Mujhse To Izhaar Kar Do,
Apni Mohabbat Ka Zikar Aaj Sare Aam Kar Do;
Nahi Karte Agar Pyaar To Inkaar Kar Do,
Ye Lo Mera Masoom Dil Iske Tukde Hazaar Kar Do!

Wafaon Ke Badle Jafa Kar Rahe Hain;
Main Kya Kar Raha Hun Woh Kya Kar Rahe Hain!

Sirf Nazdikiyon Se Mohabbat Hua Nahi Karti,
Fansle Jo Dilon Mein Ho To Phir Chahat Hua Nahi Karti,
Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse;
Khamosh Rehne Se Dilon Ki Dooriyan Mita Nahi Karti!

Dukh Apna Agar Ham Ko Batana Nahi Aata,
Tum Ko Bhi To Andaza Lagana Nahin Aata!

Kaash Use Chahne Ka Armaan Na Hota,
Main Hosh Mein Rehte Hue Anjaan Na Hota;
Na Pyaar Hota Kisi Patthar Dil Se Hum Ko,
Ya Phir Koi Patthar Dil Insaan Na Hota!