
Zindagi Yun Hui Basar Tanha,
Qafila Saath Aur Safar Tanha;
Apne Saye Se Chaunk Jaate Hain,
Umar Guzri Hai Is Qadar Tanha!

Kaash Koi Hum Par Bhi Itna Pyaar Jatati,
Peeche Se Aa Kar Wo Hamari Aankho Ko Chupati,
Hum Puchte Ki Kaun Ho Tum;
Aur Woh Hans Kar Khudko Hamari Jaan Batati!

Hoshwalon Ko Khabar Kya Bekhudi Kya Cheez Hai,
Ishq Kijiye Phir Samajhiye Zindagi Kya Cheez Hai!

Zaroori Nahi Ki Jeene Ka Koi Sahara Ho,
Zaroori Nahi Ki Jiske Hum Ho Woh Bhi Hamara Ho;
Kuch Kashtiyan Doob Jaya Karti Hain,
Zaroori Nahi Ki Har Kashti Ke Naseeb Mein Kinara Ho!

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi,
Main Sab Se Chota Tha Ghar Mein Mere Hisse Mein Maa Aayi!

Pyaar Se Chahe Armaan Mang Lo,
Rooth Kar Chahe Muskaan Mang Lo;
Tamanna Ye Hai Ki Na Dena Kabhi Dhokha,
Phir Hans Kar Chahe Meri Jaan Mang Lo!

Log Har Mod Pe Ruk-Ruk Ke Sambhalte Kyon Hain,
Itna Darte Hain To Phir Ghar Se Nikalate Kyon Hain;
Main Na Jugnu Hun Na Diya Hun Na Koi Tara Hun,
Roshni Wale Mere Naam Se Jalte Kyon Hain!

Har Ek Manzar Par Udasi Chhayi Hai,
Chand Ki Roshni Mein Bhi Kami Aayi Hai,
Akele Achhe The Hum Apne Aashiane Mein,
Jaane Kyon Toot Kar Aaj Phir Aapki Yaad Aayi Hai!

Tor Diya Tasbee Ko Is Khayal Se Faraz;
Kya Gin Gin Ke Naam Lena Uska Jo Behisab Deta Hai!

Ek Dard Chhupa Rakha Hai Barson Se Dil Mein,
Dil Karta Hai Aaj Keh Dun Bhari Mehfil Mein;
Kyon Aisa Lagta Hai Ki, Mere Raaste Mujhse Juda Hain,
Aur Kyun Meri Manzil Mujhse Hi Khafa Hai!