
Sabhi Ko Sabh Kuch Nahi Milta,
Nadi Ki Har Lehar Ko Sahil Nahi Milta,
Yeh Dil Walon Ki Dunia Hai Dost,
Kisi Se Dil Nahi Milta To Koi Dil Se Nahi Milta!

Jiss Tarah Se Badli Hain Hath ki Lakirein Nasir,
Mausam Ko Bhi Iss Tarah Maine Badalte Nahin Dekhaa!

Kabhi Neendain Kabhi Ankhon Mein Paani Bhej Deta Hai, Zalim;
Wo Khud Aata Nahi Apni Nishaani Bhej Deta Hai!

Main Chahta Hun Aik Aasiyana Ho;
Jo Wabasta Sirf Tum Se Ho!

Aa Bichadne Ka Koi Aur Tareeqa Dhoodhen;
Pyaar Badhta Hai Meri Jaaan Khafa Rahne Se!

Ab Tere Zikar Pe Hum Baat Badal Dete Hain;
Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle-Pehle!

Hoti Nahi Qubool Dua Tark-e-Ishq Ki;
Dil Chahta Na Ho Toh Dua Mein Asar Kahan!

Gwahi Kaise Toot'ti Mamla Khuda Ka Tha;
Mera Aur Us Ka Rabta Toh Hath Aur Dua Ka Tha!

Aadat Hi Bana Li Hai Tum Ne Toh Munir Apni;
Jis Shehar Mein Rehna Uktaye Hue Rehna!

Chal Rahe Hain Zamane Mein Rishwaton Ke Silsale;
Tum Bhi Kuch Le De Kar Mujh Se Mohabbat Kar Lo!