
Aaya Hi Tha Khyal Ki Aankhein Chhalak Padi;
Aansu Kisi Ki Yaad Ke Kitne Kareeb Hain!

Humne Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibaadat Ki Hai,
Rasmon Se Riwazon Se Bagawat Ki Hai;
Manga Tha Hum Ne Jise Apni Duaaon Mein,
Usi Ne Mujhse Juda Hone Ki Chahat Ki Hai!

Mere Dil Ki Ummeedon Ka Haunsla To Dekho;
Intezaar Uska Hai Jise Mera Ehsaas Tak Nahi!

Tum Kitne Door Ho Mujhse Main Kitna Paas Hun Tumse;
Tumhein Pana Bhi Namumkin Tumhein Khona Bhi Namumkin!

Jo Teer Bhi Aata Woh Khaali Nahi Jata,
Mayus Mere Dil Se Sawali Nahi Jata;
Kaante Hi Kya Karte Hain Phoolon Ki Hifazat,
Phoolon Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata!

Asi Maut Nu Bhi Jeona Sikha Devange,
Bujhi Jo Shama Ta Ohnu Bhi Jala Devange;
Saunh Rabb Di Jis Din Javange Duniya Toh,
Ik Vari Ta Zaroor Tainu Bhi Rula Devange!

Woh Nafratein Paale Rahe Hum Pyaar Nibhate Rahe;
Lo Yeh Zindagi Bhi Kat Gayi Khaali Haath Si!

Mera Mohtaaz Hona Toh Meri Haalat Se Zaahir Hai;
Magar Haan Dekhna Hai Aap Ka Haajat-Rawa Hona!

Jisko Bhi Chaha Shiddat Se Chaha Hai 'Faraz';
Silsila Toota Nahi Dard Ki Zanzeer Ka!

Yeh Aarzoo Thi Ki Hum Us Ke Saath Chalein;
Magar Woh Shakhs Toh Raasta Badalta Jata Hai!