
Main Dard Ke Pahlu Mein Hi Pala Bada Hun;
Tum Zakhm Do Bhi To Dard Naa Hoga!

Teri Dillagi Ke Fasane Bahut Mashhoor Hain Mana,
Lekin Ahl-e-Gham Pe Jo Guzari Tumne Na Jana!

Rote Hain Ab Wahin Tanha Baith Ke "Akash";
Jahan Sath-Sath Jeene Ke Khwab Dekhte The!

Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota;
Mujhe Chand Logon Ne Yahi Sikhaya Hai!

Aisa Gham Na De Ki Kabhi Ro Bhi Na Sakun,
Shab Kya Din Mein Bhi So Bhi Na Sakun;
Pehle Hi Bahut Daag Hain Mere Daaman Mein,
Aur Daagdar Na Kar Ki Dho Bhi Na Sakun!

Chahta Toh Main Bhi Hun Ki Mila-Jhula Karun Main Sabse;
Magar Mujh Mein Ik Shakhs Tanha Rehne Ki Zidd Karta Hai!

Kahin Toot Na Jayein Marasim Teri Yaadon Se Bhi;
Kabhi-Kabhi Tanhai Se Bahut Darta Bhi Hun Main!

Chahta To Main Bhi Hun Ki Mila-Jhula Karun Main Sabse;
Magar Mujh Mein Ik Shakhs Tanha Rehne Ki Zidd Karta Hai!

Hum Kuch Isliye Bhi Rahe Junoon-e-Safar Mein;
Woh Kisi Rahguzar Pe To Intezar Karta Hoga!

Tay Hua Tha Umar Bhar Sath-Sath Rehna;
Phir Darmiyan Yeh Intezar Kahan Se Aa Geya!