
Shab-o-Roz Ho Ya Shaam-o-Sahar Mein;
Raha Hai Tu Kareeb Mere Pahar-Pahar Mein!

Aankh Ne Ashq Bahaye Bhi To Sookh Jayenge;
Dil Ki Basti Mein Gham Ki Dhoop Hai Bahut!

Aisa Gham Na De Ki Kabhi Ro Bhi Na Sakun,
Shab Kya Din Mein Bhi So Bhi Na Sakun;
Pehle Hi Bahut Daag Hain Mere Daaman Mein,
Aur Daagdar Na Kar Ki Dho Bhi Na Sakun!

Teri Dillagi Ke Fasane Bahut Mashhoor Hain Mana;
Lekin Ahl-e-Gham Pe Jo Guzri Tumne Na Jana!

Jo Khulus Se Milta Hai Baras Jata Hun;
Main Barsaat Ka Ik Badal Aawara-Sa Hun!

Dil Se Toh Kai Mausam Guzar Jate Hain;
Aankhon Se Magar Barsaat Nahi Jati!

Barsaat Ka Mausam To Guzar Geya;
Aankhon Mein Nami Magar Ab Bhi Hai!

Hijr Ke Sahil Pe Tha Jo Ishq Ka Aashiyana;
Gham Ki Barsat Mein Nadeem Ik Roz Dhah Geya!

Mera Haal-e-Dil Phir Mere Dil Mein Hi Reh Geya;
Ik Kagaz Pe Likha Tha Barsaat Mein Bheeg Geya!

Ishq Jaane Yeh Kaisa Mausam Le Aaya Hai;
Ki Gham Ki Barsat Mein Dono Bheeg Rahe Hain!