
Yeh Jo Pani Mein Sunehera Garoor Utar Aaya Hai;
Zaroor Usne Pani Mein Payu Utara Hoga!

Ye Dhuaan Kam Ho Toh Pehchaan Ho Mumkin Shayad;
Yun Toh Woh Jalta Hua Apna Makaan Lagta Hai!

Jaise Meri Nigaah Ne Dekha Na Ho Kabhi;
Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar!

Us Ke Daaman Mein Bhi Zakhmon Ke Siva Kuch Na Mila;
Humne Jis Shaqs Ko Samjha Tha Maseeha Sabka!
Daaman: Lower portion of a shirt or a coat
Maseeha: Saviour

Uthti Nahi Hai Aankh Kisi Aur Ki Taraf;
Paband Kar Gayi Hai Kisi Ki Nazar Mujhe!

Lafz Bhi Jis Ahd Mein Kho Baithe Apna Aitbaar;
Khamoshi Ko Iss Mein Kitna Motabar Maine Kiya!
Lafz: Words
Ahd: Period
Motabar: Reliable, trustworthy

Zikr Jab Chhidd Geya Qayamat Ka;
Baat Pahunchi Teri Jawani Tak!

Chaman Mein Shab Ko Jo Woh Shokh Be-Naqab Aaya,
Yakeen Ho Geya Shabnam Ko Aaftab Aaya;
Un Ankhdiyon Mein Agar Nasha-e-Sharab Aaya,
Salaam Jhuk Ke Karunga Jo Phir Hijab Aaya!

Kuch Aur Bhi Hain Humein Kaam Aye Gham-e-Janan;
Kab Tak Koi Uljhi Hui Zulfon Ko Sanwarey!

Meri Khushi Ki Muddat Itni Hai Faraz,
Guzar Jati Hai Mere Muskurane Se Pehle!