
Raah Mein Nikale The Ki Yeh Soch Kar Kisi Ko Bana Lenge Apna;
Magar Is Khwahish Ne Zindagi Bhar Ka Musafir Bana Diya!

Hoti Hai Lakh Ghamon Ki Dawa Neend Bhi Magar,
Hote Hain Aise Gham Bhi Jo Sone Nahi Dete!

Parda-e-Noor Banke Chhaye Hain,
Aasuon Ki Tarah Machlate Khwab;
Bistar-e-Dil Pe Khoon Uglate Khwab,
Raat Bhar Karvatein Badlate Khwab!

Na Jee Bhar Ke Dekha, Na Kuch Baat Ki;
Badi Arzoo Thi Mulaqat Ki!

Aapki Dosti Ki Ek Nazar Chahiye,
Dil Hai Beghar Use Ek Ghar Chahiye;
Bas Yun Hi Saath Chalte Raho Ae Dost,
Yeh Dosti Humein Umar Bhar Chahiye!

Tujh Se Bichhad Kar Bhi Tera Paas Rehta Hun;
Khuda Gawah Hai Main Bahut Udaas Rehta Hun!

Aur Zindagi Se Koi Aas Na Rakhi Humne;
Paane Ke Baad Tumhein Koi Pyaas Na Rakhi Humne!

Jaan Tujh Par Nisaar Karta Hoon;
Main Nahin Jaanta Dua Kya Hai!

Tere Ishq Ne Loota Jitna Ab Kuch Khone Ko Nahi;
Aise Hain Haalaat Ki Ek Aansu Bhi Rone Ko Nahi!

Sookhi Hai Nadi, Bheege Hain Kinare;
Hum Toh Zinda Hain Teri Yaadon Ke Sahare!