
Hum Aah Bhi Karte Hain Toh Ho Jaate Hain Badnam;
Woh Qatal Bhi Karte Hain Toh Charcha Nahi Hota!

Chehre Ki Hasi Se Har Gham Chupao,
Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao;
Khud Na Rootho Kabhi Par Sab Ko Manao,
Yeh Raaz Hai Zindagi Ka, Bas Jeete Jao!

Tauba Toh Kar Li Hai Ishq Se Lekin;
Thoda Sa Zeher La Do Aaj Bahut Udaas Hun Main!
Kab Uska Visaal:
Kab Uska Visaal Chahiye Tha,
Bas Ek Khayaal Chahiye Tha;
Kab Dil Ko Jawaab Se Gharaz Thi,
Honthon Ko Sawaal Chahiye Tha;
Shauq Yeh Nafas Tha Aur Wafaa Ko,
Paas-e-Mah-o-Saal Chahiye Tha;
Ek Chehra-e-Sadaa Tha Jo Hum Ko,
Be-Misl-o-Misaal Chahiye Tha;
Ek Karb Mein Zaat-o-Zindagii Hain,
Mumkin Ko Mahaal Chahiye Tha!

Ik Aarzoo-Mand Nigaah Se Dekhte Rahe Usko;
Yun Aarzoo Dar Aarzoo Zindagi Basar Karte Hue!

Kuch Din Se Usko Bhi Hamari Aadat Ho Gayi Shayad;
Shararat Karte-Karte Unko Bhi Mohabbat Ho Gayi!

Hum Bhi Maujud The Taqdeer Ke Darwaaze Par;
Log Daulat Par Gire Aur Humne Tujhe Maang Liya!

Tirchi Nigaahon Se Na Dekh Aashiq-e-Dilgir Ko;
Kaise Teer Andaz Ho Tum Zara Seedha To Kar Lo Teer Ko!

Maykhane Mein Kaise Bujhti Pyaas Meri;
Inn Hothon Ko Talab To Tere Hothon Ki Thi!

Tujhe Mila Nahi Humsa Koi, Humein Mila Nahi Tujhsa Koi;
Ye To Kismat Ki Baat Hai, Ki Hamari Nazar Mein Is Kadar Basa Nahi Koi!