
Kya Raabta Kisi Ki Judaai Se Mera,
Bharta Hi Nahi Dil Kabhi Tanhai Se Mera!

Apne Siva Aur Kuch Mila Hai Tumhein,
Sau Baar Le Chuke Ho Mere Dil Ki Talashi!

Nikalo Apna Chaand Sa Chehra Agosh-e-Bistar Se,
Subah Taras Rahi Hai Tera Deedar Karne Ko!

Khud Ko Yun Mehsoor Kar Baitha Hoon Apni Zaat Mein;
Manzilen Charon Taraf Hain, Raasta Koi Nahi!
Mehsoor: Sorrounded
Zaat: Personality
Badla Lena Meri Fitrat:
Main Lamhon Ko Waqt Ki Pukaar Deta Hoon,
Isi Lagan Mein Kayi Shaamein Guzaar Deta Hoon;
Main Yunhi Har Ek Se Be-Rabt Nahi Milta,
Har Ek Shakhs Ko Us Ka Mayyaar Deta Hoon;
Main Gham Ki Kashti Ko Dubona Nahi Chaahta,
Bojh Barrh Jaye To Kuch Utaar Deta Hoon;
Khushiyan Koi Maangey To Muft Deta Hoon,
Gham Maangey Koi To Udhaar Deta Hoon;
Badla Lena Meri Fitrat Mein Nahi 'Saaqi',
Khizaan Ke Badley Bahaar Deta Hoon!

Jo Unki Aankhon Se Bayaan Hote Hain,
Woh Lafz Shayari Mein Kahan Hote Hain!

Na Sath Hai Kisi Ka Na Sahara Hai Koi;
Na Hum Hain Kisi Ke Na Hamara Hai Koi!

Hai Ajeeb Shehar Ki Zindagi Na Safar Raha Na Kayaam Hai,
Kahin Karobaar Si Dopehar Kahin Badmizaaz Si Shaam Hai!

Maine Roka Nahi Woh Chala Bhi Gaya,
Bebasi Door Tak Dekhti Reh Gayi!

Jinki Shayari Mein Hoti Hain Siskiyan Aksar,
Woh Shayar Nahi Kisi Bewafa Ke Deewane Hote Hain!