sms

Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Hamari Tanhayion Se Aankh Churate Rahe,
Aur Humein Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chhipate Rahe!

sms

Do Hi Gawah The Meri Mohabbat Ke, Waqt Aur Woh;
Ek Guzar Gaya, Doosra Mukar Gaya!

sms

Dillagi Thi Use Hum Se, Mohabbat Kab Thi,
Mehfil-e-Gair Se Unko Fursat Kab Thi,
Hum The Mohabbat Mein Laut Jaane Ke Qaabil,
Us Ke Vaadoon Mein Woh Haqeeqat Kab Thi!

sms

Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye;
Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye!

sms

Kyon Vasl Ki Shab Haath Lagaane Nahin Dete;
Ma-Shuq Ho Ya Koi Amaanat Ho Kisi Ki!

sms

Sazaa Dene Wale Razaa Puchte Hain,
Jeene Ki Humse Vajah Puchte Hain,
Dete Hain Khud Hi Zeher Humko Aakar,
Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain!

sms

Chaman Ke Baharon Mein Tha Aashiyana,
Na Jane Kahan Kho Geya Woh Zamaana,
Tumhein Bhulane Ki Main Koshish Toh Karunga,
Dua Karo Ki Tum Kabhi Mujhe Yaad Na Aana!

sms

Anokhi Wazah Hai Saare Zamane Se Nirale Hain,
Yeh Aashiq Kaun Si Basti Ke Ai Rabb Rehne Wale Hain!

sms

Aziyat Musibat Mlamat Balayen,
Tere Ishq Mein Hum Ne Kya Kya Na Dekha!

sms

Ajab Paheliyan Hain Haathon Ki Lakeeron Mein,
Safar Hi Safar Likha Hai Humsafar Koi Nahi!

End of content

No more pages to load

Next page