
Hum Rone Pe Aa Jayein Toh Dariya Hi Baha Den,
Shabnam Kee Tarah Se Humein Rona Nahi Aataa!

Woh Roz Dekhta Hai Doobte Hue Suraj Ko 'Faraz';
Kaash Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota!

Tauba To Kar Li Hai Ishq Se Lekin,
Thoda Sa Zeher La Do Aaj Bahut Udaas Hun Main!

Dhoondo Iss Berang Duniya Mein Khushiyon Ke Rang;
Bas Hothon Ki Muskurahat Se Hi Gulaal Ki Shokhiyan Hain!

Lo Khatm Hui Rang-o-Gulaal Ki Shokhiyan,
Chalo Yaaron, Phir Berang Duniya Mein Laut Chalein!

Ek Musht-e-Khaaq Aur Woh Bhi Hawa Ke Zad Mein Hai;
Zindagi Ki Bebasi Ka Istiyaara Dekhna!
Musht-e-Khaaq: A fist full of dust
Zad: Control, Hold
Istiyaara: Metaphor

Tujh Pe Uththi Hai Woh Khoyi Hui Saahir Aankhein;
Tujh Ko Maaloom Hai Kyon Umar Gawa Di Humne!
Saahir: Magical

Dil Mera Har Pal Tere Liye Chalta Hai,
Tujhe Chumne Ke Khyaal Se Dhadakta Hai!

Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga,
Chiraag Bujh Gaye Khud Ko Jalaana Hoga;
Na Samajhna Ki Tumse Bichhad Kar Khush Hain Hum,
Humein Logon Ki Khaatir Muskurana Hoga!

Bahut Roya Hai Dil Unhein Yaad Karke,
Kuch Na Mila Rabb Se Bhi Fariyad Karke;
Woh Keh Gayi Main Na Dungi Saath Aapka,
Koi Puche Unhein Kya Mila Hume Barbaad Karke!