
Dekh Mujhe Toh Tarq-e-Talluk Ke Baawzood;
Wo Muskura Diya Yeh Hunar Bhi Usi Ka Tha!

Tazzub Kya Lagi Gar Aag Ai 'Seemaab' Seene Mein;
Hazaaron Dil Mein Angaare Bhare The Lag Gayi Hogi!
Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadmi,
Phir Bhi Tanhaaiyon Ka Shikaar Aadmi;
Subah Se Shaam Tak Bojh Dhota Hua,
Apni Hi Laash Ka Khud Mazaar Aadami;
Har Taraf Bhaagte Daudte Raaste,
Har Taraf Aadmi Ka Shikaar Aadmi;
Roz Jeeta Hua Roz Marta Hua,
Har Naye Din Naya Intezaar Aadmi;
Zindagi Ka Muqaddar Safar Dar Safar,
Aakhiri Saans Tak Beqaraar Aadmi!

Betabiyaan Samet Ke Saare Jahaan Ki;
Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya!

Itni Si Baat Pe Dil Ki Dhadkan Ruk Gayi 'Faraz';
Ek Pal Jo Tasavvur Kiya Tere Bina Jeene Ka!

Kis Dhitahai Se Woh Dil Chheen Ke Kehte Hain Ameer;
Woh Mira Ghar Hai Rahe Jis Mein Mohabbat Meri!

Kisi Se Dil Nahi Milta Hai Ya Rabb;
Hua Tha Kis Ghadi Un Se Juda Main!
Sari Basti Mein Ye Jadoo Nazar Aaye Mujhko,
Jo Daricha Bhi Khule Tu Nazar Aaye Mujhko;
Sadiyon Ka Raat Jaga Meri Raaton Mein Aa Geya,
Main Ek Haseen Shakhs Ki Baaton Mein Aa Geya;
Jab Tassavuur Mera Chupke Se Tujhe Choo Aaye,
Der Tak Apne Badan Se Teri Khushboo Aaye;
Gustaakh Hawaaon Ki Shikaayat Na Kiya Kar,
Udd Jaaye Duptta Toh Khanak Odh Liya Kar;
Tum Pucho Aur Main Na Bataoon Aise Toh Halaat Nahi,
Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur Toh Koi Baat Nahi;
Raat Ke Sannate Mein Humne Kya-Kya Dhokhe Khaye Hain,
Apna Hi Dil Jab Dhadka Toh Hum Samjhe Woh Aaye Hain!

Aao Mere Aagosh Mein Mohabbat Ki Bandagi Kar Lein;
Inn Aankhon Se Kab Tak Luka-Chhipi Khelen Ge!

Bada Shor Sunte The Pehlu Mein Dil Ka;
Jo Cheera To Ik Qatra-e-Khoon Na Nikla!