
Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khist Dard Se Bahar Na Aaye Kyon,
Royenge Hum Hazaar Baar Koi Humein Sataye Kyon!

Usne Phir Se Salaam Bheja Hai,
Phir Kisi Se Bigad Gayi Hogi!

Arz-o-Sama Kahan Tiri Vusat Ko Paa Sake,
Mera Hi Dil Hai Woh Ki Jahan Tu Sama Sake!

But-Khana Tod Daaliye Maszid Ko Dhaaiye;
Dil Ko Na Todiye Ye Khuda Ka Maqaam Hai!

Dil Ki Bisaat Kya Thi Nigaah-e-Jamaal Mein;
Ik Aaina Tha Toot Geya Dekh-Bhaal Mein!

Jumhuriyat Ik Tarz-e-Hukumat Hai Ki Jis Mein;
Bandon Ko Gina Karte Hain Tola Nahi Karte!
Jumhuriyat = Democracy

Jo Dil Ke Ho Kareeb Use Ruswa Nahi Karte,
Yun Apni Dosti Ka Tamasha Nahi Karte;
Khamosh Rahoge Toh Ghutan Aur Badegi,
Apno Se Koi Baat Chhupaya Nahi Karte!
Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Banaane Mein,
Tum Taras Nahi Khate, Bastiyaan Jalaane Mein;
Aur Jaam Tootenge Is Sharaab-Khaane Mein,
Mausmon Ke Aane Mein, Mausmon Ke Jane Mein;
Har Dhadakkate Patthar Ko Log Dil Samajhte Hain,
Umr Beet Jaati Hai, Dil Ko Dil Banane Mein;
Fakhtaa Ki Mazboori Yeh Bhi Keh Nahi Sakti,
Kaun Saanp Rakhta Hai Uske Aashiyane Mein;
Doosri Koi Ladki Zindgi Mein Aayegi,
Kitni Der Lagti Hai Usko Bhool Jaane Mein!

Humne Seene Se Lagaya, Dil Na Apna Ban Saka;
Muskura Kar Tum Ne Dekha, Dil Tumhara Ho Geya!

Aap Pehlu Mein Jo Baithein Toh Sambhal Kar Baithe;
Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki!