
Humare Ishq Ko Yun Na Aazmaao Sanam,
Pattharon Ko Dhadkna Sikha Dete Hain Hum!

Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho,
Meri Rago Mein Zehar Judaai Ka Utarata Dekho;
Kis-Kis Ada Se Tujhe Manga Hai Khudaa Se,
Aao Kabhi Mujhe Sazado Mein Siskata Dekho!

Manzilon Se Begana Aaj Bhi Safar Mera;
Hai Raat Besahar Meri, Dard Beasar Mera!

Ek Si Shokhi Khuda Ne Di Hai, Husn-o-Ishq Ko;
Fark Bas Itna Hai Woh Aankhon Mein Hai Yeh Dil Mein Hai!
Aankhon Se Mere Isliye Laali Nahi Jaati,
Yaadon Se Koi Raat Khaali Nahi Jaati;
Ab Na Umr Na Mausam Na Raste Ke Woh Patte,
Is Dil Ki Magar Khaam-Khayali Nahi Jaati;
Maange Tu Agar Jaan Bhi To Hans Kar Tujhe De Du,
Teri Toh Koi Baat Bhi Taali Nahi Jaati;
Maloom Humein Bhi Hain Bahut Se Tere Qisse,
Par Baat Teri Humse Uchhali Nahi Jaati;
Hum-Raah Tere Phool Khilaati Thi Jo Dil Mein,
Ab Shaam Wohi Dard Se Khaali Nahi Jaati;
Hum Jaan Se Jayenge Tabhi Baat Banegi,
Tumse To Koi Baat Nikaali Nahi Jaati!

Nigaahon Se Qatal Kar De, Na Ho Takleef Dono Ko;
Tujhe Khanjar Uthane Ki Mujhe Gardan Jhukane Ki!

Tum Kya Jano Sharab Kaise Pilayi Jaati Hai,
Kholne Se Pehle Botal Hilayi Jaati Hai;
Phir Aawaaz Lagayi Jaati Hai Aa Jao Tute Dil Walo,
Yahan Dard-e-Dil Ki Dawa Pilayi Jaati Hai!

Na Jaane Aakhir In Aansuon Par Kya Guzri;
Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Magar Beh Na Sake!

Tum Agar Yaad Rakhoge Toh Inayat Hogi,
Varna Humko Kahan Tum Se Shikayat Hogi;
Yeh Toh Wahi Bewafa Logon Ki Duniya Hai,
Tum Agar Bhool Bhi Jao Toh Riwayat Hogi!
Mera Zameer Mera Aitbaar Bolta Hai,
Meri Zubaan Se Parvardigaar Bolta Hai;
Teri Zubaan Katarna Bahut Zaroori Hai,
Tujhe Maraz Hai Ki Tu Baar-Baar Bolta Hai;
Kuch Aur Kaam Use Yaad Hi Nahi Shayad,
Magar Woh Jhooth Bahut Shaandaar Bolta Hai;
Khuda Ne Uske Labon Par Mithaas Rakh Di Hai,
Woh Bolta Hai Toh Jaise Sitaar Bolta Hai!