
Woh Ashk Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai;
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai!
Chashm-e-Tar = Eyes Filled with Tears, Wet Eyes

Usne Mujhse Na Jane Kyon Yeh Doori Kar Li,
Bichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhoori Kar Di;
Mere Muqaddar Mein Dard Aaya Toh Kya Hua,
Khuda Ne Uski Khwahish Toh Poori Kar Dai!

Bhar Aayi Meri Aankhein Jab Uska Naam Aaya,
Ishq Nakaam Sahi Phir Bhi Bahut Kaam Aaya;
Humne Mohabbat Mein Aisi Bhi Guzaari Kayi Raatein,
Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko Aaram Na Aaya

Dard Ka Mere Yakeen Aap Karein Ya Na Karein;
Intija Hai Ke Iss Raaz Ka Charcha Na Karein!
Tum Chale Jaaoge Toh, Kaise Mulaqaat Hogi,
Na Hi Katega Din, Na Guzar Meri Raat Hogi;
Meri Zindagi Ki Khushiyaan, Tumse Hai Wabasta,
Tumhare Bina Ab Toh, Sooni Meri Qainaat Hogi;
Beete Lamhon Ko Yaad Kar, Tumhein Mehsoos Karenge,
Labon Se Muskurayenge, Aur Aankhon Se Barsaat Hogi;
Kitna Dil-Nasheen Hoga, Tumhari Yaadon Ka Manzar,
Ki Tumhari Tasveer Seene Se Lagakar, Meri Baat Hogi;
Chahe Kahin Bhi Raho Tum, Bas Humein Hi Paaoge,
Tumhare Hum-Raah Ab Toh, Meri Yaad Saath Hogi;
Tum Hi Meri Khwahish Ho, Sada Muskurate Rehna,
Sang Tumhare Meri Jaan, Meri Duaon Ki Saugaat Hogi!

Na Udhaao Yun Thokro Mein Meri Khak-e-Qabr Zalim;
Yehi Ek Reh Gayi Hai Mere Pyaar Ki Nishaani!

Umr Tamaam Bahaar Ki Umeed Mein Guzar Gayi;
Bahaar Aayi Hai Toh Maut Ka Paigaam Layi Hai!

Aagosh-e-Sitam Mein Chhupa Le Koi,
Tanha Hun Tadapne Se Bacha Le Koi;
Sookhi Hai Badi Der Se Palkon Ki Zubaan,
Bas Aaj Toh Jee Bhar Ke Rula De Koi!

Band Kar Dena Khuli Aankhon Ko Meri Aa Ke Tum;
Aks Tera Dekh Kar Keh De Na Koi Bewafa!

Hanste Hue Zakhmon Ko Bhulane Lage Hain Hum,
Har Dard Ke Nishaan Mitaane Lage Hain Hum;
Ab Aur Koi Zulm Satayega Kya Bhala,
Zulmon Sitam Ko Ab Toh Satane Lage Hain Hum!