
Achha Hai Dil Ke Saath Rahe Paasbaan-e-Akl;
Lekin Kabhi-Kbhi Ise Tanha Bhi Chhod De!

Dil De To Is Mizaaz Ka Parvardigaar De;
Jo Aanz Ki Ghadi Bhi Khushi Se Guzaar De!

Do Baatein Unse Ki To Dil Ka Dard Kho Gaya;
Logo Ne Humse Pucha Aaj Tumhein Kya Ho Gaya;
Hum Beqrar Aankhon Se Sirf Hass Paaye,
Ye Bhi Na Keh Paaye Ki Humein Pyaar Ho Gaya!

Hum Ne Seene Se Lagaaya Dil Na Apna Ban Saka;
Muskura Kar Tum Ne Dekha Dil Tumhaara Ho Gaya!

Gham Wo Mai Khana Kami Jis Mein Nahin;
Dil Wo Paimaana Hai Bharta Hi Nahin!

Aap Pehlu Mein Jo Baithein To Sambhal Kar Baithen;
Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki!

Dil Tootne Se Thodi Si Taklif To Hui;
Lekin Tamaam Umar Ko Aaraam Ho Gaya!

Dil Ki Veerani Ka Kya Majkoor Hai;
Ye Nagar Sau Martba Luta Gaya!

Saath Agar Doge Toh Muskurange Zarur;
Pyaar Agar Dil Se Karoge To Nibhayenge Zarur;
Raah Mein Kitne Bhi Kaante Kyon Na Ho;
Awaaz Agar Dil Se Doge To Aayenge Zarur!

Anjaan Ek Saathi Ka Iss Dil Ko Intzaar Hain;
Pyasi Hain Ye Aankhen Aur Dil Bekarar Hain;
Unke Saath Mil Jaye To Har Raah Aasan Ho Jayegi;
Shayad Issi Anokhe Ehsaas Ka Naam Pyaar Hai!