
Jo Yaqeen Ke Raah Par Chal Pade;
Unhein Manzilon Ne Panaah Di;
Jinhe Vassvason Ne Daraa Diya;
Woh Kadam Kadam Par Behak Gaye!

Maut Ne Chupke Se Na Jane Kya Kaha;
Aur Zindagi Khamosh Ho Kar Reh Gayi!

Patthar Zehan Gulaab Nahi Hunde;
Kore Waraq Kitaab Nahi Hunde;
Je Kar Laaiye Yaari Sajna;
Fir Yaraan Naal Hisaab Nahi Hunde!

Yeh Kaafi Hai Ki Hum Dushman Nahi Hain;
Wafaadari Ka Daava Kyon Karein Hum!
Meaning:
Daava - Claim

Na Guzarna Eid Ke Din Kisi Masjid Ke Pass Se;
Kahin Log Chand Samajh Ke Roza Na Tod Lein;
Aur Hokar Khafa Khuda Tumse;
Kahin Husn Banana Hi Na Chhod De!

Kash Taqdeer Bhi Hoti Zulf Ki Tarah;
Jab Jab Bikharti, Tab Tab Sanwaar Lete!

Main Apne Ghar Gaya Tha Woh Jab Apne Ghar Gayi;
Phir Mujh Ko Kya Khabar Ki Wahan Se Kidhar Gayi!

Iqrar Mein Shabdon Ki Ehmiyat Nahi Hoti;
Dil Ke Jazbat Ki Awaaz Nahi Hoti;
Aankhein Bayan Kar Deti Hain Dil Ki Dastan;
Mohabbat Lafzon Ki Mohtaz Nahi Hoti!

Woh Mujhse Door Rehkar Khush Hai Toh Rehne Do Use;
Mujhe Chahat Se Zyada Uski Muskurahat Pasand Hai!

Hote Agar Paas Toh Koi Shararat Karte;
Lekar Tumhein Baahon Mein Mohabbat Karte;
Dekhte Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumar;
Apni Khoyi Hui Neendon Ki Shikayat Karte!