
Ab Is Ke Baad Ghane Junglon Kee Manzil Hai;
Yeh Waqat Hai Ki Palat Jayein Humsafar Mere!

Jee Chahta Hain Tum Se Pyari Si Baat Ho;
Haseen Chand Tare Ho, Lambi Si Raat Ho;
Fir Raat Bhar Yhi Guftagu Rakhe Hum Dono;
Tum Meri Zindagi Ho, Tum Meri Kayinat Ho!

Thikana Hai Qabr Tera Ibadat Kuch To Kar Gafil;
Kahawat Hai Ke Khali Haath Ghar Jaya Nahi Karte!

Meri Hai Hasarat, Tu Khushiyon Mein Rahe Sada;
Yehi Hai Meri Dua, Vidaa Ho Nafarat Aur Pyar Rahe Sada!

Mana Ki Pyaar Kisi Ka Mere Paas Nahi,
Magar Tumhein Meri Mohabbat Ka Ehsaas Nahi;
Jane Pee Gaye Hum Kitne Ghum-e-Aansu;
Ab Kuch Aur Peene Kee Pyaas Nahi!

Muskan Banaye Rakho To Sab Saath Hai Ghalib;
Varna Aansuon Ko To Aankhon Mein Bhi Panah Nahi Milti!

Pyaar Karo To Hamesha Muskura Ke;
Kisi Ko Dhokha Na Do Apna Bana Ke;
Kar Lo Yaad Jab Tak Hum Zinda Hain;
Phir Na Kehna Ki Chale Gaye Dil Mein Yaadein Basa Ke!

Akelepan Ne Bigaadi Hai Aadatein Meri;
Woh Laut Aaye Toh Mumkin Hai Sudhar Jaun Main!

Nafrat Thi Humse To Izhaar Kyon Kiya;
Dena Tha Zehar To Pyaar Kyon Kiya;
Dekar Zehar Kehte Ho Peena Hi Hoga,
Aur Jab Pee Gaye Zehar To Kehte Ho Ab Jeena Hi Hoga!

Rote Hain Tanha Dekh Kar Mujhko Woh Raaste;
Jin Pe Tere Baghair Main Guzra Kabhi Na Tha!