
Teri Khamosh Nazron Ka Nazara Main Hoon;
Tu Agar Samundar Hai To Kinara Main Hoon;
Waqt Ki Dehleez Par Har Cheez Badalti Hai;
Umar Bhar Jo Saath Rahe Woh Sahara Main Hun!

Unn Chiraago Mein Tel Hi Kam Tha;
Kyon Gila Fir Humein Hawa Se Rahe!

Nazar Nazar Ka Farq Hai, Husn Ka Nahi;
Mehboob Jis Ka Bhi Ho, Be-Misaal Hota Hai!

Tu Ishq Ki Doosari Nishani Mujhko De De;
Aansu Toh Roz Gir Ke Sookh Jate Hain!

Duniya Mein Itni Rasmein Kyon Hain;
Pyaar Agar Zindagi Hai To Ismein Kasmein Kyon Hain;
Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz;
Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai!

Khusro Baazi Prem Ki, Main Khelun Pi Ke Sang;
Jeet Gayi To Piya Moray, Haari, Pi Kay Sang!

Mat Puchna Us Se Musibat Hoti Hai Kya;
Jisne Kaati Ho Zindagi Muflisi Mein!
Kuch Din Se Soch Raha Hun Phir Se Mohabbat Kar Loon;
Iss Bahane Thoda Jeena To Aayega Humein!

Dil Munaafiq Tha, Shab-e-Hijr Mein Soya Kaise;
Aur Jab Tujh Se Mila, Toot Ke Roya Kaise!
Meaning:
Munaafiq = Hypocrite
Shab-e-Hijr = Peacefully

Pukarti Hai Khamoshi Meri Fugan Ki Tarah;
Nigahein Kehti Hain Sab Raz-e-Dil Zuban Ki Tarah;
Jala Ke Daag-e-Mohabbat Ne Dil Ko Khak Kiya Bahar;
Ai Mere Baag Mein Khizan Ki Tarah!