
Zara Si Zindagi Hai Armaan Bahut Hain;
Humdard Nahi Koi, Insaan Bahut Hain;
Dil Ka Dard Sunaye To Sunaye Kisko;
Jo Dil Ke Kareeb Hain Wo Anjaan Bahut Hain!

Khud Se Roothun To Kayi Roz Na Khud Se Bolun;
Phir Kisi Dard Ki Deewaar Se Lag Kar Ro Lun!

Log Samajthe Hain Ki Humne Tumhein Bhula Rakha Hai;
Ye Nahi Jaante Ki Kahin Dil Mein Chupa Rakha Hai;
Dekh Na Le Koi Meri Aankhon Mein Tasvir Tumhari;
Humne Apni Palkon Ko Is Kadar Jhuka Rakha Hai!

Tujhse Roothne Ke Bahane Toh Bahut Hain;
Par Darte Hai;
Agar Tu Manane Nahi Aaya Toh Kaha Jayenge Hum!

Mangne Se Mil Saki Nahi Humein Ek Bhi Khushi;
Paaye Hain Laakh Ranj Tamanna Kiye Baghair!

Itna Anmol Tha Ki Khareed Na Saka Koi Hum Ko;
Hairaan Hun Ki Tere Haathon Bika To Bika Kaise!

Ghamon Mein Bhi Muskurana Chahta Hun Main;
Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hun Main;
Magar Na Jane Kyon Nikal Aate Hain Aansu;
Jab Bhi Tumhein Bhulana Chahta Hun Main!

Itni Nafrat Hai Usse Meri Mohabbat Se;
Usne Apne Haath Jala Liye Meri Taqdeer Mitane Ke Liye!

Main Bad-Dua to Nahi De Raha Hun Usko Magar;
Dua Yahi Hai Use Mujh Jaisa Ab Koi Na Mile!

Aise Bichrro Nahi, Sada Ke Liye;
Mujh Se Rootho Na Tum, Khuda Ke Liye;
Maine Maanga Hai Bas Tumhein Rabb Se;
Haath Jab Bhi Uthe Dua Ke Liye!