
Woh Inkar Karte Hain Ikrar Ke Liye;
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyaar Ke Liye;
Ulti Chaal Chalte Hain Yeh Ishq Karne Wale;
Aankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye!

Saanson Se Pyaari, Yaadein Hain Aapki;
Dhadkan Se Pyaari, Baatein Hain Aapki;
Tumhein Yakeen Ho Ya Na Ho;
Lekin Is Zindagi Se Pyaari, Dosti Hai Aapki!

Aaine Mein Wo Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn;
Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye!

Maangi Thi Dua Hum Ne Rab Se;
Dena Mujhe Dost Jo Alag Ho Sabse;
Usne Mila Diya Humein Aapse Aur Kaha;
Sambhalo Inhe Ye Anmol Hai Sab Se!

Parwah Kar Uski Jo Teri Parwah Kare;
Zindagi Mein Jo Kabhi Na Tujhe Tanha Kare;
Jaan Ban Ke Utar Jaa Uski Rooh Mein;
Jo Jaan Se Bhi Zyada Tujh Se Wafa Kare!

Tujhe Dekha Nahi Phir Bhi Tujhe Chahne Laga Hoon;
Tumhein Dheere Dheere Apna Banane Laga Hoon;
Ye Dil Kyon Aapke Bare Mein Hi Sochta Hai;
Kyon Tujhse Dil Lagane Laga Hoon!

Humain Khabar Hai, Hawaa Ka Mizaaj Rakhte Ho;
Magar Yeh Kya, Ke Zara Dair Ko Rukey Bhi Nahin!

Tapakti Hai Nigahon Se, Barasti Hai Adaaon Se;
Mohabbat Kaun Kehta Hai Ke Pehchaani Nahi Jati!

Yoon Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye;
Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye!

Na Sawaal Banke Mila Karo;
Na Jawaab Banke Mila Karo;
Meri Zindagi Mera Khwaab Hai;
Mujhe Khwaab Banke Mila Karo!