
Ek Hi Kahani Hai Tum Ko Jo Sunani Hai;
Baat Woh Zara Si Hai Magar Baat Umar Bhar Ki Hai!
Hum Toh Samjhe The Ki Ek Zakhm Hai Bhar Jayega;
Kya Khabar Thi Ki Rag-e-Jaan Mein Utar Jayega!

Phir Aaj Ashk Se Aankhon Mein Kyon Hain Aaye Hue;
Guzar Geya Hai Zamaana Tujhe Bhulaye Hue!

Khamosh Raahon Mein Tera Saath Chahiye;
Tanhayi Hai Mere Hath Mein Tera Haath Chahiye;
Mujhko Mere Muqaddar Par Itna Yaqeen Toh Hai;
Tujhko Bhi Mere Lafz, Meri Baat Chahiye!
Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Geya;
Kuch Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gaye!

Hum Se Bewafai Ki Inteha Kya Puchte Ho Mohsin;
Woh Hum Se Pyaar Seekhta Raha Kisi Aur Ke Liye!
Kaun Kehta Hai Nafraton Mein Dard Hai Mohsin;
Kuch Mohabbatein Bhi Badi Aziyat Naak Hoti Hain!

Is Qadar Toot Ke Tum Par Humein Pyaar Aata Hai;
Apni Baahon Mein Bharien Aur Maar Hi Daalein Tum Ko!
Udasi Jab Tum Par Beetegi Toh, Tum Bhi Jaan Jaoge Sanam;
Koi Nazar Andaz Karta Hai Toh Kitna Dard Hota Hai!

Zindagi Guzar Gayi Saari Kanton Kee Kagaar Par;
Aur Phoolon Ne Machai Hai Bheed Hamari Mazaar Par!