Teri Badnaami Ka Darr Hai Warna;
Kuch Aisa Likh Jaun Ki Teri Khamoshi Bhi Cheekh Uthe!

Kuch Sitaron Ki Chamak Nahi Jaati;
Kuch Yaadon Ki Khanak Nahi Jati;
Kuch Logon Se Hota Hai Aisa Rishta;
Ki Door Rehke Bhi Unki Mehak Nahi Jaati!
Ajab Shikwa Sa Rehta Hai, Tumhein Mujh Se Mujhe Tum Se;
Tumhein Ulfat Nahi Mujh Se, Mujhe Nafrat Nahi Tum Se!

Har Sapna Khushi Pane Se Pura Nahi Hota;
Koi Kisi Ke Bina Adhura Nahi Hota;
Jo Chaand Roshan Karta Hai Raat Bhar Sab Ko;
Har Raat Wo Bhi Toh Pura Nahi Hota!
Karoge Yaad Ek Din Is Pyaar Ke Zamane Ko;
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko;
Chalega Mehfil Mein Jab Zikr Hamara Koi;
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko!

Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka;
Hosh Dono Mein Kho Jate Hain;
Fark Sirf Itna Hai Ki Sharab Sula Deti Hai;
Aur Mohabbat Rula Deti Hai!
Uss Ghadi Dekho Unka Aalam,
Neend Se Jab Hon Bhojhal Aankhein;
Kaun Meri Nazar Mein Samaaye,
Dekhi Hain Maine Tumhari Aankhein!

Baat Unchi Thi Magar Baat Zara Kam Aanki;
Usne Jazbaat Ki Aukaat Zara Kam Aanki;
Woh Farishta Keh Kar Mujhe Zaleel Karta Raha;
Main Insaan Hun, Meri Jaat Zara Kam Aanki!
Khuda Kee Raah Ka Jo Sailani Hota Hai;
Ibadat Mein Uska Chehra Noorani Hota Hai;
Sachha Pyaar Jo Karte Hain;
Har Ehsaas Unka Roohani Hota Hai!

Khaali Nahi Raha Kabhi Aankhon Ka Ye Makaan;
Sab Ashq Beh Gaye To Udaasi Thehar Gayi!